Breaking

LightBlog

Sad Sayari

Sad Sayari


Humdum To Sath Sath Chalte Hain,

Raaste To Bewafa Badalte Hain,Tera Chehra

Hai Jab Se Aankhon Mein,

Meri Aankhon Se Log Jalte Hain.



Khushboo Bankar Teri Saanso Mein Sama Jayenge,

Sukun Bankar Tere Dil Mein Utar Jayenge,

Mehsus Karne Ki Koshish To Kijiye,

Dur Rahte Hue Bhi Pass Najar Aayenge.



Tera Intezaar Mujhe Har Pal Rehta Hai,

Har Lamha Mujhe Tera Ehsaas Rehta Hai,

Tujh Bin Dhadkane Rukk Si Jaati Hai,

Ki Tu Mere Dil Me Meri Dhadkan Banke Rehta Hai.



Apne Aasman Se Meri Zameen Dekh Lo,

Tum Khwab Aaj Koyi Haseen Dekh Lo,

Agar Aazmana Hain Aitbar Ko Mere To,

Ek Juth Tum Bolo Or Mera Yakeen Dekh Lo.


Nazare Mile to Pyar ho Jata Hai,

Palke Uthe to Izhaar Ho Jata Hai,

Na Jane Kya Kashish Hai Chahat Me,

Kei Koyi Anjaan Bhi Hamari

Zindagi Ka Haqdaar Ho Jata Hai.


Yaadon Me Humari Aap Bhi Khoye Honge,

Khuli Aankho Se Kbhi Aap Bhi Soye Honge,

Mana Hasna Hain Adaa Gam Chhupane Ki,

Par Haste Haste Kabhi Aap Bhi Roye Honge.


आज मुझे ये बताने की इजाज़त दे दो,

आज मुझे ये शाम सजाने की इजाज़त दे दो,

अपने इश्क़ मे मुझे क़ैद कर लो,

आज जान तुम पर लूटाने की इजाज़त दे दो.


is Benaam Se Rishte Ko Nibha Jao

Kisi Din, Jo Mil Jaye Fursat To

Paas Aao Kisi Din, Milta Hai Sabhi

Ko Sab Kuch Ye Suna Hai, Mujhe

To Faqat Tum Hi Mil Jao Kisi Din.

         

Kuch Sochu To Apka Khayal Aa Jata He,

Kuch Bolu To Apka Naam Aa Jata He,

Kab Tak Chupau Dil Ki Baat,

Apki Har Ada Par Humko Pyar Aa Jata He.


Hum Mohabbat Ki Kabhi Numaish Nahi Karte,

Hum Lafzon Ki Bhi Pamaish Nahi Karte,

Jise Chahte Hai Ham Toot Ke Chahte Hai,

Badle Mein Pyar Ki Khawaish Tak Nahi Karte


Khubsurat Sa Ek Pal Kissa Banjata Hai,

Jane Kab Kaun Zindagi Ka Hissa Banjata Hai,

Kuchh Log Zindagi Mein Milte Hai Aise,

Jinse Kabhi Na Tutnewala Rishta Banjata Hai.


Rasto Mein Pathron Ki Kami Nahi Hoti,

Dil Mein Khwabo Ki Kami Nahi Hoti,

Hum Chahte Hai Unko Apna Banana,

Par Unke Paas Apno Ki Kami Nahi Hoti.

No comments:

Post a Comment

Adbox